Dosto, hamari duniya mein aise bahut sare log hain jinhone apni mehnat aur sangharsho se wo mukaam haasil kiye hain, jiska sapna ek aam insaan apni zindagi mein dekhta hai. Dosto, aaj main aapko asli jindagiyon ki kuch aisi prernatmak kahaniyan (Real life Inspirational Stories) ko batayunga jo aapko mehnat karne aur kabhi haar na maanne ki seekh denge. Dosto, is post ke madhyam se hum kuch aise logon ki zindagi ke bare mein jaanenge jinka jeevan dunia ke har insaan ko prernaa dene ke sath-sath unka jeevan bhi badal sakti hain (Real life Inspirational Stories In Hinglish).

Real-life Inspirational Stories – Lionel Messi

Lionel Messi ki prernadayak kahani Sharirik kami ko harakar kaise bana dunia ka sabse prasiddh footballer

Dosto, Lionel Messi ki kahani bhi ek aise insaan ki kahani hai jo apne jeevan ki saari badaavon ko paar karte hua dunia ka sabse mahaan football khiladi banta hai. Dosto, yeh motivational story Lionel Messi ke jeevan ka hai jis jeevan mein unhone apni kharab vittiye paristhiti, sharirik akshamataon aur sansadhanon ki kami par vijay praapt kar apne aap ko dunia ka sabse mahaan football khiladi banaya.

Lionel Messi ka Birthday

Lionel Messi ka janm 24 June 1987 ko Argentina mein hua tha, madhy vargiy parivaar mein janme Messi ka aarambhik jeevan praay abhaav mein hi beeta. Unke pita Georg Messi ek steel factory mein manager the aur unki mata bhi ek kaamkaaji mahila thi. Dosto, Messi ke mata-pita ek football premi the jiske kaaran unke bache ko bhi kaafi kam umra se hi football ke prati lagav ho gaya tha. Messi jab matr 10 saal ke the tab unke jeevan mein sangharsho ki shuruwat bade hi natakiye dhang se hui.

Lionel Messi Ki Life

Lionel Messi jab 10 varsh ke the to unhe pata chala ki unke shareer mein vikaas hormone ki badi bhari kami hai jiske kaaran unke shareer ka vikas ruk gaya hai. Dosto, aapko bata de ki 10 saal ki umra mein Messi apne hum umra ke bachhon ki tulna mein aur yahan tak ki apne se chhoti umra ke bachhon ki tulna mein bhi kaafi chhote aur naazuk the. Apne bachche mein is asamanata ko dekhkar jab Messi ke parivaar waalon ne doctori sahayata li toh yeh paaya ki Messi ke shareer mein growth hormone ki badi bhari kami hai jiske kaaran unka vikas ruk gaya hai aur is vikas ki prakriya ko punah shuru karne ke liye har mahine growth hormone injection dene ki avashyakta hai.

Lionel Messi Friends

Dosto, aapko bata de ki is injection ko dene ka kharch $900 se $1000 pratimaah tha. Dosto, Messi ke mata-pita ki arthik sthiti itni acchi nahi thi ki pratyek mahine itni rakam sirf ilaaj ke liye kharch kar saken. Is ghatna ke baad mano aisa lag raha tha ki Messi ka kariyar shuru hone se pehle hi khatm ho jayega, par yeh toh chhote se Messi ke jeevan ke sangharshon ki shuruat bhar hi thi.

Lionel Messi Footballer

Messi ek pratibhavan khiladi the, unki is pratibha ko dekhkar kai saare football clubs ne unhe apne club mein shaamil karne ki dilchaspiti dikhayi thi par yeh bimaari Messi ki safalta mein pehli baar tab roda bani jab Argentina ke River Plate FC naamak club ne Messi ki pratibha ko dekhte hue unhe apne team mein chunne ka nishkarsh kar liya tha. Jab unhein Messi ki swasthaya sthiti ke baare mein pata chala ki is 11 saal ke ladke ki vridhi ruk gayi hai aur iske ilaaj ke liye pratimaah takriban $1000 ki avashyakta hai toh unhone apna nishkarsh badal diya aur unhein apni team mein chunne se mana kar diya aur yeh hawaala diya ki ve kisi khiladi ke ilaaj ke liye itne paise kharche nahi kar sakte hain kyunki unke paas fund ki kami hai.

Messi ek pratibhavann khiladi the par is samay ek sharirik kami ne unse unka sab kuch cheen liya tha, jiska khiladi ko apni club mein shaamil karne ke liye bade pratishthit football club aapas mein hod lagate the, aaj us khiladi ko ek sharirik kami ke kaaran koi bhi svikaar nahi karna chahta tha.

Dosto, yeh ghatna hai kisi ko bhi hatotsahit kar sakti hai, phir bhi Messi ne kabhi bhi haar nahi maani aur na hi apne aap ko kamjor hone diya. In sab chunautiyon ke bavjood Messi ne khud ko tootne se bachaye rakha aur apni pratibha par vishwaas rakhte hue khud ko aashaavaadi banaye rakha, par kehte hain na ki junooni aur pratibhavann logon ke dukh jyada din nahi rehte. Saari kamiyon ko anadekha kar jis tarah Messi apni pratibha aur mehnat ko badhate rahe, woh aakhirkaar rang layi.

Lionel Messi Change Life

Lionel Messi ke jeevan ne us waqt ek badi mod li jab 13 varsh ki umra mein FC Barcelona ke nirdeshak Carles Rexach ko Messi ki pratibha ke baare mein pata chala. Messi ki asaadhaaran pratibha aur khel ko dekhkar Rexach ne Messi ko apne club mein shaamil kiya saath hi saath unhone Messi ka vikas hormone ko badhane vaale ilaaj ke kharch ko bhi manzoori de di. Driddh sankalp aur football ke prati apne junoon ke kaaran mahaj 16 saal ki umra mein Messi pehli baar Barcelona ki taraf se aadhikaarik taur par maidan mein utre aur is match mein Barcelona ki jeet hui.

Lionel Messi Football Records

Messi ne lagataar kai football records tode hain jaise do Vishwa Cup, do UEFA Super Cup, 3 Champions League, 6 La Liga league. 2011 ke Forbes ke mutabik Messi ki sampatti (Lionel Messi net worth) 110 million dollar se adhik ki hai Forbes ke naye ankaade ke anusar 2019 mein Messi salary ke mamle mein duniya ka sabse jyada kamaane wale athlete rahe chuke hain. Lionel Messi ke jeevan se hamein seekh milti hai ki kaise insaan apne driddh sankalp aur kaushal ke aadhaar par apne jeevan ki badaavon ko paar karte huye ek safal insaan banta hai. Messi ke vyaktitva se hamein yeh seekh leni chahiye ki hamein apni kamiyon ke bajay apni khoobiyon par dhyaan dene ki avashyakta hai aur jab aapke jeevan mein kabhi bura waqt aaye toh use ghabrane ki bajay uske samadhan ki chinta karni chahiye.

Dosto, aise hi Lionel Messi ne apne sangharshon se haar nahi maani aur hamesha apne lakshya ke taraf tezi se badhte rahe. Unki lagan aur mehnat ne unhe itni safalta dilayi ki wo football ke itihas mein ek adbhut sthan prapt kar chuke hain. Unki kamyaabi ne na sirf unke parivaar ko garv mehsoos karaya, balki unke desh Argentina ke liye bhi ek garv ki baat bani.

Lionel Messi ke jeevan se hamein yeh mahan sandesh milta hai ki agar hum apne iraade se majboot hai, toh hum kisi bhi mushkil se samna kar sakte hain. Zindagi mein har kadam par chunautiyan aati hain, lekin unse haar nahi maan kar aur khud par bharosa rakhte huye, hum apne sapno ko sakar kar sakte hain.

Aaj Messi duniya ke sabse prasiddh footballers mein se ek hai. Unki kathinaiyon se bhari hui kahani ek aam insaan ke jeevan mein ummeed aur safalta ki roshni bikhertee hai. Humesha yaad rakhna ki asli kaamyabi sangharshon ke saath hi milti hai.

Dosto, isliye, khud par vishwas karte hue, mehnat aur saahas se aage badhte rahen. Zindagi ki har mushkil se lalkar kar apne lakshya ko hasil karen, kyun ki har ek asli jindagi ki kahani, ek asli insaan ki prerana ban sakti hai.

Toh chaliye, apne jeevan mein nayi umeedon ki kahani likhen aur apne sapno ko jeewan mein sakar karen. Yaad rahe, asli safalta ka raaz, hamare andar hi chhupa hai!

Umeed hai, aapko yeh kahani pasand aayi hogi aur aap isse apne jeevan mein uthane layak sandesh milega. Is prernatmak kahani ko apne dosto ke saath bhi zaroor share kare taki wo bhi apne jeevan mein nayi roshni dekh saken. Dhanyavaad!

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *